Saturday, April 17, 2010

Read Holy Quran


Hazrat Abu Umamah Bahilii R.A.farmaate hai k maine Rasool Allah S.A.ko ye irshaad farmate huey suna:Qur’an majiid padho kyunki ye qayamat k din apne padhne walo ka sifaarishi banker aega.Surah Baqrah aur Aale Imran jo dono roshan suurate hai(khaas taur se)padha karo kyunki ye qayamat k din apne padhne walo ko apne saaye may liye is tarah aaegi jaise wo abr k do tukde ho ya do saaebaan ho ya qataar bandhe parindo k do gol ho, ye dono apne padhne walo k liye sifaarish karegi aur khususiyat se Surah Baqrah padha karo kyunki is ka padhna, yaad rakhna aur samajhna barkat ka sabab hai aur is ka chhorh dena mehrumi ki baat hai .aur is surat se ghalat qism k log faedah nahi utha sakte.Muawya bin Salaam Rehmatullah Alaih kehte hai mujhe ye baat pahunchi hai k ghalat qism k logo se muraad jaadugar hai ya’ni Surah Baqrah ki tilaawat ka ma’mool rakhne wale par kabhi kisi jaadugar ka jaadu nahi chalega.

Hazrat Ma’qal bin Yasaar R.A.se rivaayat hai k Rasool Allah S.A.ne irshaad farmaya Qur’an Kareem ki choti ya’ni sab se uncha hissa Surah Baqrah hai. Is ki har ayat k sath 80 farishte utre hai aur Aayatul kursi arsh k niche se nikaali gai hai ya’ni Allah SWT. k khaas khazane se naazil hui hai phir is ko Surah Baqrah k saath mila diya gaya ya’ni is may shamil kar liya gaya aur Surah Yaseen Qur’an Kareem ka dil hai .Is ko jo shaks Allah T. ki raza aur Aakhirat ki niyyat se padhega to yaqeenan is ki maghfirat kar di jaegi lihaza is surat ko apne marne walo k paas padha karo( Taakey rooh k nikalne may asani ho.)
Faedah: Hadeeth shareef may Surah Baqrah ko Qur’an Kareem ki choti galiban is wajah se farmaya hai k islam k buniyadi usool aur aqaayad aur sharii’at k ehkaam ka jitna tafseeli bayan Surah Baqrah may kiya gaya hai itna aur is tarah Qur’an kareem ki kisi suurat may nahi kiya gaya.

Hazrat Ibne Mas’uud R.A.farmaate hai k qabr may aadmi par pairo ki taraf se azaab aata hai to is k paiir kehte hai k meri taraf se aane ka koi raasta nhi kyun k yeh Surah Mulk (29th siparah) padhta tha.phir woh seene ya pet ki taraf se aata hai to seena ya pet kehta hai meri taraf se tere liye aane ka koi raasta nahi hai kyun k ye Surah Mulk padha karta tha.phir azaab is k sir ki taraf se aata hai to sir kehta hai k tere liye meri taraf se aane ka koi raasta nahi hai kyun ki ye Surah Mulk padha karta tha. Hazrat Abdullah bin Mas’uud R.A. farmate hai k ye suurat qabr k azaab ko rokne wali hai.Toraat may is ka naam suurah Mulk hai. Jis shaks ne is ko kisi raat may padha is ne bahot zyadah sawab kamaya.

Hazrat Jaabir R.A.se rivayat hai k Rasool Allah S.A.is waqt tak nahi sotey thay jab tak k Surah Alif laam meem Sajdah(jo 21th parey may hai) aur Tabaarakal lazii biyadihil mulk (Suray Mulk 29th siparey may hai ) na padh lete.

No comments:

Post a Comment